Indeed Allah & His angels send blessings on the Prophet; O People who Believe! Send blessings & abundant salutations upon him.

Bismi Allahi arrahmani arraheem
In the name of Allah, the most Gracious, the most Merciful

AL-REHMAN (Naihait Maherbaan) 

Her farz key ba’ad agar is ism ka 100 martabah vird kia jai to iski barkat sey na sirf yadasht aur zahanat mein azafah hota hai balkey khashoo-e-qalb bhi hasil hota hai.

AL-RAHEEM (Bohat Reham Wala)

Her Fajar ki Namaz key ba’ad agar is ism ka 100 martabah vird kia jai to is key asar sey her shakhs maherban ho jai ga. Aur vird karney waley sey mohabbat aur rahat sey pesh aaiga.

AL-MALIK (Haqeeqi Badshah)

Is ism ka vird kisi bhi waqt bhi karney wala hamesha mo’azzaz aur maqbool rahta hai.

AL-QUDDUS (Buraiun Sey Pak Zaat)

Din mein 100 bar Is ka vird karney walon ka dil her qism ki pareshanion sey a’azad rehta hai.

AL-SALAM (Her Afat Sey Salamat Rakhney Wala)

Agar is ism ko 100 bar vird kar key mareez per dam kia jai to mareez sahetyab ho jata hai.

AL-MOMIN (Aman-o-Aman Daney Wala) 

Is ka vird karney wala her qism ki muzarboon sey mehfooz rehta hai.

AL-MOHAMIN (Nigehbaan)

Mukammal tawajjo key sath Is ism ka vird karney sey batan roshan hota hai.

AL-AZIZ (Sab per Ghalib) 

Agar her Fajr ki Namaz key ba’ad chalees din 40 bar vird karney wala nah sirf is kar vird kia jai to iski barkat sey khud kafeel ho jaiga balkey dosroon ki imdad sey beniaz ho jai ga.

AL-JABBAR (Sab Sey Zabardast)

Is ism ka vird karney waloon say koi shakhsh is ki marzi key khalaf amal nahin kar sakta. Aur na who maghloob-al-ghazab ho kar drusht raviah ikhtiar kar sakta hai.

 AL-MUTKABBIR (Barai aur Bazurgi wala)

Apni shareek-e-hayat sey is ism key wird key ba’ad mubashrat karney sey saleh aulad paida hoti hai.

AL-KHALIQ (Paida Karney Wala)

Jo shakhsh raat key waqt is ka vird karta hai to Allah Tua’alla qiamat tak is ki hifazat w nigrani key liay aik Farishtah muqarar kar deta hai aur is Farishtey key a’amal ka ajr vird karney walon ko milta hai.

AL-BARI (Jan Dalney Wala)

Aulad ki mutmani khatoon agar sat din tak rozah rakh kar in tinoo (3) ismon ka 211 martaba vird karey aur pani per dam ker key is pani sey rozah iftar karey to Allah is ko aulad sey sarfraz karey ga.

AL-MUSAWAR (Surat Deney Wala)

Aulad ki mutmani khatoon agar sat (7) din rozah rakh kar in tinoo (3) ismon ka 21 martaba vird karey aur pani per dam ker key is pani sey rozah iftar karey to Allah is ko aulad sey sarfraz karey ga.

AL-GHAF’FAAR (Darguzar Aur Pardaposhi Karney Wala)

Jo is ism ka vird karey ga. Allah is key gunahoon ko bakhsh dey ga.

AL-QAHAR (Sab Ko Apney Qabu Mein Rakhney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karta hai usko apni jumlah khawahshoon per qabu hasil ho jata hai. Aur hawas, jah-o-jalal sey aazad ho ker ruhani sakoon hasil ker leta hai. Aur iska vird insane kw ghalat karion sey baz rakhta hai.

AL-WAHAB (Sab Kuch Ata Karney Wala)

Jo shakhs Dua’a key ba’ad is ism ka 7 bar vird karey to uski dua’a qabool hoti hai. Hajatmand shakhs ya woh shakhs jo kisi dushman key chungal mien phans gia ho to ya woh shakhs jiski aamdni qaleel ho aur achi tarah guzr basr na hoti ho agar teen (3) sey sat (7) ratoon mein do (2) rak’at ba’ad is ism kar vird 100 bar karey to Allah iski zarooratoon ko pura karey ga. 

AL-RAZZAQ (Bohat Rozi Deney Wala)

Jo shakhs is ism ka vird karta hai. Allah uski kafalat apney zimma ley leta hai.

AL-FATTAH (Bohat Bara Mushkal Kusha)

Jo shakhsh is ism ka vird karta hai uska qalab roshan ho jata hai. Aur us ko apney maqasad mein kabiabi hoti hai.

AL-ALEEM (Bohat Waseei Ilm Wala)

Jo shakhs is ism ka vird karta hai us ka dil tajaliat sey ma’amoor ho jata hai.

AL-QABiZ (Rozi Tang Karney Wala) 

Agar koi shakhs is ism ko roti key pachas (50) tukroon per likh kar chalees din tak khai to usko bhook sey nijat mil jai gi.

AL-BASIT (Rozi Farrakh Karney Wala)

Agar koi shakhs is ism ka ba’ad Nimaz Fajr apney dono hath phaila kar 10 bar vird karey aur uskey ba’ad dono hath paney munh per pherey to woh apni jumla zarooratoon sey beyniaz ho jai ga.

AL-KHAFIZ (Past Karney Wala)

Jo shakhs teen din rozah rakhey aur chothey din majma mein ism ka 70,000 bar vird karey to us ko apney dushmano sey nijat naseeb ho gi.

AL-RAFEY (Buland Karney Wala)

Jo shakhs is ism ka 1000 bar vird karey to Allah us ko sarfrazi, izat, daulat aur buland martba ata farmai ga.

AL-MUIZ (Izzat Deney Wala)

Agar yeh hisab taqweem qamri pir, mangal ki ratoon mein yani shamsi hisab sey itwar aur peer ki ratoon mein is ism ka 140 bar vird kia jai to Allah vird karney ko dosroon ki nazr mein daqi-o-muazar banata hai aur Khuda key siwa kisi sey nahin darey ga.

AL-MUZIL (Zilat Deney Wala)

Is ism ka 75 bar vird karney wala muzraboon sey aur hasdoon ki aizasani sey mehfooz rehta hai.

AL-SAMEE (Sab Kuch Sun’ney Wala) 

Jo baat kiay baghair jumairat ko Zohar ki Namaz key ba’ad is ism ka 100 bar vird karey to Allah uski her khwahash puri karey ga.

AL-BASEER (Sab Kuch Dekhney Wala)

Jo shakhs Jum’aa key din pehli bar char sunattoon aur farz darmian 100 bar is ism ka vird karey ga Allah doosron ki nazar mein is ko ba-izzat aur moaqqar banai ga.

AL-HAKAM (Hakam-e-Mutliq)

Jo shakhs raat mein kai bar is ism ka vird karta hai to us per bohat sey raaz aashkar ho jatey hain.

AL-ADAL (Sar-ta-pa Insaaf) 

Agar is ism ko Jum’a ki shab roti key turkey par likh kar kha lia jai to log is key farman bardar ho jain gey.

AL-LATIF (Bar Lutf-o-Karam Karney Wala)

Agar koi shakhs muflas ho jai aur be-yar-o-madad gar bhi ho to aisa shakhs do nafal namaz ada karney key ba’ad is ism ka 100 bar vird karey to uski murad bar aiy gi.

AL-KHAIR (Ba Khabr Aur Aagah)

Agar koi buri lat sey chutkara hasil karna chahey to is ka musalsal vird karey Insha’Allah us ki is lat sey rahai mil jai gi.

AL-HALEEM (Bara Burdbar)
Agar koi shakhs is ism ko kaghiz per likh kar aur khait mein kaghiz ko us muqam per dafn kar dey jahan beej boia jata hai to woh khet her qism ki aafat araz-o-samavi sey mehfooz rahey ga.

AL-AZEEM (Bara Bazurg)
Jo shakhs is ism ka kai bar vird karey ga to her shakhs is ko Izat-o-Tauqeer ki nazar sey dekhey ga.
AL-GHAFOOR (Bohat Bakhshaney Wala)

Agar koi shaded sar dard ya bukhar mein mubtala ho ya bohat ziddi ho to aisa shakhs agar is ism ka musalsal vird karey to us ki is takleef sey nijat hasil ho jati hai.

AL-SHAKOOR (Qadar Dan)

Agar kisi shakhs ko dil par bar ho aur aisa shakhs is ism ko 41 bar vird karey aur pani par dam kar key pani sey apna munh dhoey to is shakhs key dil ka bojh khatm ho jai aur woh apney aap per qabu hasil karey ga.

AL-ALI (Bohat Buland-o-Bartar)

Agar kisi shakhs ka aqeedah kamzor ho aur woh is ism ka vird karey to us ka aqeedah darust ho jai ga aur Manzal-e-Maqsood tak pohanch jai ga.

AL-KABEER (Bohat Bara)

Agar koi is ism ka rozana 100 bar vird karey to dunia ki nigahon mein mo’azaz mohtaram ho jai ga.

AL-HAFEEZ (Sab Ka Mohafiz)

Jo shakhs is ism ka din mein 15 bar vird karey ga, woh her qism ki a’afaat sey mehfooz rahey ga.

AL-MUQEET (Rozi aur Tawani Deney Wala)

Agar kisi bachey ki Aadat-o-Atwar kharab ho jain aur aisey bachey ko yeh ism aik glass pani mein dam kar key pilaya jai to bachey kay Aadat-o-Atwar darust ho jain gey.

AL-HASEEB (Hisab Karney Wala)

Agar koi shakhs chor ya kisi hasad sey khaif ho ya is ko koi nuqsal pohnchaney ka ehtimal ho to is ism ka jumerat say din raat sat din tak 70 bar vird karey aur 71 bar Hasbi-Allah-ul-Haseeb kahey to Insha’Allah usko khauf sey nijat mil jai gi. 

AL-JALEEL (Barey aur Buland Martabey Wala)

Agar koi shakhs is ism ko mushak aur zaafran sey kaghaz par likh kar matti key kozey mein isko pani mein gholey aur is pani ko pi lay to isko Insha’Allah dunia mein izzat aur qadr-o-Manzalit naseeb ho gi.
AL-KAREEM (Bohat Karam Karney Wala)

Jo shakhs is ism ka ba-kasrat sey vird karey ga Insha’Allah is ko deen-o-dunia mein falah-o-izzat hasil ho gi.

AL-RAQEEB (Bara Nigehbaan)

Jo shakhs apney ahl-o-ayal aur mal-o-mata per 7 martabah is ism ko parh kar dam karey to Allah in ko apni hifazat mein rakhey ga.

AL-MUJEEB (Duain Sun’ney WalaAur Qabool Karney Wala)

Is naam ka vird kar key Khuda sey jo dua mangi jai gi Allah is dua ko qabool karey ga.

AL-WASEY (Wusa’at Wala)

Agar kisi shakhs ko hasool-e-rizq mein mushkalat dar-pesh hon to voh is ism ka vird karey, Insha’Allah is ki amdni mein azafa ho jai ga

AL-HAKEEM (Bari Hikmaton Wala)

Jo shakhs waqtan fowaqtan is ism ka vird karey ga is key kamon mein koi mushkal hail nahin ho gi.

AL-WADOOD (Bara Mohabbat Wala)

Agar do afraad key darmian koi tanaza ho aur in mein sey koi aik shakhs is ism ka 1000 bar vird kar key is ko khaney per dam kar key aur doosrey shakhs ko khula dey to in mein aapis ki ranjash khatam ho jai gi.

AL-MAJEED (Bara Bazurg)
Jo shakhs is ism ka vird karey ga voh dunia mein ba-izat rahey ga.

AL-BAA’IS (Murdoon Ko Zinda Karney Wala)
Jo shakhs is ism ka vird karey us key dil mein Allah ka khauf paida ho jai ga. 

AL-SHAHEED (Hazir-o-Nazir)
Agar kisi ki aulad naframan ho aur voh is ism ka vird karey to us ki aulad farman bardar ho jai gi.

AL-HAQ (Bar Haq-o-Barqrar)
Agar kisi ki koi cheez gum ho jai aur voh is ism ka vird karey to is ko apni gumshuda cheez mil jai gi.

AL-WAKEEL (Bara Karsaaz)

Agar kisi ko pani mein dobney ya aag mein jalney ya isi qabeel key aur khatraat dar-pesh hon to is ko chahiay keh is ism ka waqtan fowaqtan musalsal vird karey Insha’Allah voh tamam khatrat sey mehfooz rahey ga aur Allah khud is ki hifazat farmai ga.

AL-QAWWI (Bari Taqat aur Quwat Wala)

Agar koi shakhs apney dushman ko shikast dey sakey to usko chahiay keh voh iradey key saath keh dushman usko koi nuqsan nahin pohncha sakta is ism ka vird karey to Insha’Allah voh dushman key ghalba sey mehfooz rahey ga.

AL-MATEEN (Bohat Mazboot aur Mustahkam)

Agar koi shakhs kisi mushkal mein phans jai aur is ism ko vird karey to Insha’Allah usey is mushkal sey nijat mil jai gi.

AL-WALI (Madad Gar aur Himaiti)

Jo is ism ka vird karey ga to Allah ki dosti ka sharf hasil ho jai ga.

AL-HAMEED (Liq-e-Ta’areef)

Jo shakhs is ism ka vird karey ga dunia is sey mohabbat karey gi aur us ki ta’azeem krey gi.

AL-MOHASSI (Apney Ilm aur Shumar mein Rakhney Waal)

Who shakhs jo parish roz-e-hisaab sey khaif ho voh is ism ka 1000 bar vird karey to us key liay roz-e-hisaab ki manzal a’asaan ho jai gi.

AL-MUBDI (Pahli Bar Paida Karney Wala)

Agar is ism kar vird kar key kisi aisi hamla per dam kia jai jis ko saqoot ka andesha ho to voh Insha’Allah asqat key khatrey sey mahfooz ho jai gi. 

AL-MUEED (Dobarah Paida Karney Wala)

Agar khandan ka koi fard gum ho jai to is ism ko 70 bar vird karney sey gumshuda shakhs be-aafiat ghar aajai ga.

AL-MUHYI (Zindagi Deney Wala)

Agar koi shakhs bohat garan bar ho voh din mein 7 bar is ism ka vird karey to Allah us ko her bar sey subkadoshi ata farmai ga.

AL-MUMIAT (Maut Deney Wala)

Agar is ism kar vird kia jai to iska vird dushman ki tabahi per muntaj hoga.

AL-HAYYO (Hamesha Hamesha Zinda Rehney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey usko umr-e-draz ata ho.

AL-QAYYUM (Qaim Rakhney Wala aur Sanbhalney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga Insha’allah who kabhi ghaflat aur bekhabri ka shikar nahin ho ga.

AL-WAJID (Har Cheez ka Palney Wala)

Iss ism ka vird karney wala dil ki doulat sey mala maal ho jata hai.

AL-MAJID (Bazurgi aur Barai Wala)

Iss ism ka vird karney waley ka dil tajalliat sey ma’amoor ho jata hai.

AL-WAHID (Apni Zat-o-Saffat Mein Yakta)

Jo shakhsh pur sakoon mahol mein is ism ka vird karey ga Insha’allah woh khauf aur dunia key har faraib sey aazad ho jai ga.

AL-AHAD (Aik Yaqtaa)

Ju shakhsh is ism ka 1000 bar wird kary ga us per qaynaat ke israr khul jain ge.

AL-SAMAD (Be Nayaz)

Ju shakhsh Iss ism ka vird kare ga Allah Taalah is ke hajat rawayi kare ga jis ke natijay main is ko dosron ke zaroorat nai rahy ge balkay dosroon ko is ke zaraoorat ho ge.

AL-WAHID (Apni Zat-o-Saffat Mein Yakta)

Jo shakhsh pur sakoon mahol mein is ism ka vird karey ga Insha’allah woh khauf aur dunia key har faraib sey aazad ho jai ga.

AL-MUQTADIR (Puri Muqtadarat Rekhney Wala)

Jo shakhsh iss ism ka vird karey ga us par woh asal haqeeqat sey bakhabar ho jai ga.

AL-MUQQADAM (Pahley Aur Agey Karney Wala) 

Jo shakhsh jang key doran iss ism ka vird karey ga, Allah us ko pesh qadmi ata karey ga aur jo shakhs kisi khaufnaak muqam per jahan woh tanha bhi ho is ism ka vird karey ga Insha’allah her zarar sey mehfooz rahey ga.

AL-MO’AKHAR (Peechey Aur Ba’ad Mein Rakhney Wala)

Jo shakhsh is ism ka din mein 100 bar vird karey ga to us key dil mein Allah key siwa her cheez ki mohabbat khatm ho jai gi.

AL-AWAL (Sab Sey Pahley)

Agar kisi key larka na ho ya koi shakhs kisi hamsafar sey qurbat hasil karna chahta ho to aath (8) haftoon tak iss ism ka 1000 bar vird karey Insha’allah us key dil ki murad puri ho jai gi. 
AL-A’AKHIR (Sab Key Ba’ad)

Jo shakhsh iss ism ka kasrat sey vird karey ga, woh na sirf khushhali ki zndagi basr karey ga balkey us ka khatma bhi bakhair ho ga.

AL-ZAHIR (Zahir-o-Aashkara)

Jo shakhsh Juma’a ki nimaz key ba’ad 15 bar is ism ka vird karey ga to Allah us ka qalb munawar far ma dey ga.

AL-BATIN (Posheeda-o-Pinhaan)

Jo shakhs din mein teen bar is ism ka vird karey ga. Us mein haqeeqat ashia key dekhney ki ahliat paida ho jai gi.

AL-WALI  (Mutwali Aur Mutsarrif)

Jo shakhsh is ism ka vird kar key apney makan par dam karey ga Insha’allah us ka makan har qism key khatraat sey mehfooz rahey ga.

AL-MUTA’ALI (Sab Sey Buland-o-Bartar)

Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga to usko Allah ki khushnudi hasil ho jai gi.

AL-BARRO (Bara Acha Salook Karney Wala)

Jo shakhs is ism ka vird kar key apney bachey par dam karey ga us ka bacha bad bakhtiun sey mehfooz-o-mamoon rahey ga.

AL-TAWWAB (Bohat Ziada Qabool Karney Wala)

Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga us ki toba qabool ho jai gi.

AL-MUSHQIM (Badla Leney Wala)

Jo shakhsh kasrat key sath is ism ka vird karey ga us ko apney dushmanoon key muqabley mein kamiabi hasil ho gi.

AL-AFAW (Bohat Ziada Mua’af Karney Wala)

Jo shakhsh kasrat key sath is ism ka vird karey ga. Allah us key tamam gunah mua’af kar dey ga. 

AL-RAUF (Bohat Meharbaan)

Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga Allah us per barkatain nazal karey ga.

MALIK-UL-MULAK (Sarey Jahan Ka Badshah)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh doosron ki nazaron mein mua’ziz aur mohtaram rahey ga.

ZUL-JILAL (Sahib-e-Bazurgi-w-Bakhshish )

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga. Insha’allah woh ghani aur maaldar ho jai ga.

AL-MUQSIT (Insaaf Karney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh shayateen ki aiza rasanion sey mehfooz rahey ga. 

AL-JAM-E-O (Qiamat Key Din Logon Ko Ikatha Karney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh is shay ko pai ga jo us ney kho di hai.

AL-GHANI (Har Cheez Sey Be Parwah)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga. Aasudah ho jai ga aur hirs-o-hawas sey aazad ho ga.

AL-MUGHNI (Ghani Ya Beparwah Karney Wala)

Das (10) Jumu’a tak agar koi shakhsh din mein 10 bar is ism ka vird karey ga to Allah us ko khud kafeel bana dey ga.

AL-MA’AN-E (Deen-o-Dunia Mein Halakat Sey Bachaney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga us ki gharailu zindagi khushgawar raey gi

AL-ZAAR (Zarar Ponhchaney Wala)

Agar koi kam rutba shakhs Juma’a ki raat mein is ism ka vird karey ga to Insha’allah rutbah buland ho jai ga.

AL-NAF-E- (Nafaa Ponchaney Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird 4 din tak karey ga to her qism key nuqsanat sey mehfooz rahey ga.

AL-NOOR (Roshani Wala)

Jo shakhsh is ism ka vird karey ga us ka batan roshan ho jai ga.

0 comments:

Post a Comment

Global Visa Consultant Lahore

Address: 274, Block F Phase 1 Johar Town, Lahore, Punjab 54000
M: +923 111 762 324
E: globalvisa30@gmail.com
URL: globalvisaconsultant.com
E: info@globalvisaconsultant.com

Recent Comments

Categories

15 Benefits of Reciting Ayatul Kursi (1) 4 Qul (1) 4 Qul Tarjuma ke sath (1) 40 Hadith Collection (1) 40 Rabbana (1) 40 Ya-Rabbana (1) Adhkaar on Friday (1) Ahad Nama (2) Ayat-e-Shifa (1) Ayat-ul-Kursi-Tarjuma ke sath (1) Ayatul Kursi (2) Ayatul Kursi Benefits (1) Beautiful Dhikr (1) Benefits & Advantages of Ayatul Kursi According To Hadees (1) Benefits And Power of Reciting 4 Qul of Quran (1) benefits of Ahad Nama (1) Benefits of Darood e Akbar (1) Benefits of Darood Sharif (1) Benefits of Dua Mughni (1) Benefits of Dua Suryani (1) Benefits of Dua-e-Hajat (1) Benefits of Dua-e-Jamilah (1) Benefits of Durood-e-Taaj (1) Benefits of Nad-e-Ali (1) Benefits of Ramadhan Fasting (1) Benefits of Surah Ar-Rahman (1) Benefits of Surah Yasin (1) Black Magic Cure in Islam (1) Charon Qul (1) Cure of Magic (1) Cure with Manzil (1) Darood e Akbar (1) Darood e Akbar Benefits (1) Darood e Akbar in Islam (1) Darood Mustaghas (1) Dua e Manzil (1) Dua Mughni (1) Dua Qadah Muazzam (1) Dua Qufal Six (1) Dua Saifi Benefits (1) Dua Suryani (1) Dua-e-Aman (1) Dua-e-Hajat (2) Dua-e-Hajat Benefits (1) Dua-e-Jamilah (1) Dua-e-Kanoot (1) Durood Akseer-e-Azam (1) Durood Kibrit Ahmar (1) Durood Lakhi (1) Durood Muqaddas (1) Durood-e-Ibrahimi (1) Durood-e-Taaj (1) Durood-e-Taaj Benefits (1) Durood-e-Tanjeena (1) Eman Mufassil (1) Eman Mujamal (1) Heart of Quran Surah Yasin (1) History of islam (1) Hizbul Bahr Benefits (1) Introduction to Methodology for Study of the Quran (1) Istikhara (1) Manzil (1) Manzil Dua (1) Manzil Dua Benefits (1) Manzil Dua Cure (1) Manzil Dua in Islam (1) Manzil Dua Islam (1) Most Powerful Darood e Akbar (1) Most Powerful Durood-e-Taaj (1) Nad-e-Ali (1) Nad-e-Ali Benefits (1) Nazar e Bad ka ilaj (1) Questions about Black Stone (1) Qul Al-Falaq (1) Qul Al-Ikhlas (1) Qul Al-Kafirun (1) Qul An-Nas (1) Qurani Surah Benefits (1) Ramadhan Khulasa-e-Quran (1) Salatul Hajat (1) Squandering and Miserliness (1) Surah Yaseen tarjuma ke sath (1) Surah Yasin Benefits (2) Surat Al-Falaq (1) Surat Al-Fatiha (1) Surat Al-Ikhlas (1) Surat Al-Kafirun (1) Surat An-Nas (1) Syed-ul-istighfar (1) Tangdasti Door Karne ka Wazifa (1) The Miracles of Islam (1) The Prayer Of Need (1) The Punishment of Being Sinful (1) Virtues of Fasting in the Summer Taken from: Ibn Rajab al-Hanbalī’s “Latā’if Maʿārif” (1) Virtues of reading Surah Al-Muzzammil (1) Wazaif e Ghawsia (1) Wazaif of Week (1) What is Wudu (1) Ya Salamo ka Wazifa (1)